Sunday, 23 September 2012

2 Dost

amliha nagar me ji haan hum nagar  rkeh sakte the ...dukaan ke naam me " taau " chacha ki ek maatra dukaan thi jaha sabhi log jamavda laga ke khde hote .... collge ke sare assignment se lekar placement yaha tk ki ipl ki boli bhi vahi lagti thi..... taau chacha ki dukaan ke thik samne hi ek engineering collge. tha naya naya khula tha .... par chacha ki dukaan me me runak aa gyi thi.
    college. me hi 2 dost the.... gagan aur sourabh....sourabh jaha ek aur dubali patali personality ka tha vahi gagan naam ke aurup "gagan ghi " khane vale healthy personality  thi.. vakalat me ruchi rakne vale gagan ki damdaar awaj ke samane ache ache "mithe " log pani bharte the... vahi sourabh shant rehne wala tha log batate the ki dil me dard bhara h bohat uske.... itane svabhaav me differnce hone ke baad bhi dono dost the.... shyad dosti isi ka naam hota ....
        "sourabh" laptop ka bag kaha h gagan ne jor daar awaj me chilate hue pucha .... aaj sourabh picnik manane aur  apne akelepan se dur hone ke liye gagan ke gaon haridoi ja rhe the... sourabh ne dheere awaj me kaha mere paas h aur ye kehta hua tata sumo me baith gya....



 
 subhah 9 baje ke nikale   1 baje hardoi me the...hardoi me gagan ka ek bada  pusteni bangla tha...  gagan jate hi gaon me sabse milane me masgul ho gya....vahi sourabh ne ghade ka thanda pani pikar apni thkavat dur karte hue gaon gumne nikal gya sourabh ko vaha jake kafi acha mehsoos kar raha tha ... apni life ki pareshaniyon ko bhool baitha tatha ... abhi kuch dur hi sourabh gaon se nikala ... tabhi gaon ki ek ladki kuyen me pani bhar rahi thi ... dono ki nazare takrayi...

aur khamosi  cha gyi h sourabh ne khamosi ko beech me todte hue kaha  me  yahi gaagn ke yahan ruka hu ....aap kya karti h ....aapk ka kya naam h ..... ek sath kai sawalon ki buchaar kar di.... Riya ....haan yahi name bataya tha ...."me b.tech  kar rhi hu" ye javaab sunate sourabh ke zoon reng gyi thi shayd aise jawab ki usane apecha nhi ki thi... ap to ye mulakat sinsila chalu ho chukata tha ... riya roz pani bahrne aati sourabh bhi aajta tha .... vahi dusari aur gagan  is sab baton se anzaan tha .... bt gaon ke kuch mithe logon ne gagan ke kaan me ye baat daal thi .....
 Gagan tamtamata hua sourabh ka intezaar kar raha tha ... aate hi usane swaal daag diya kaahan  gye ....sourabh ne bina kisi jhijhak ke bata diya riya se milne .... gagan ne sourabh ko gale lagate hue kaaha dost pehale batana tha na .....riya ke family vale gaon me dabang h  aur hum logo se ranjis chalti h .... tumhe kuch ho bhi sakta tha...
      agale din sourabh jaise hi milne gya  raste me talab me batakh ko ek magarmach kha raha tha ye drasya dekh ke sourabh ka dil pasij gya ... par ye to problem ki shuruvaat thi ... riya ka bhai vahi gaon ki bazariya police chuki me tenat tha ...  aur  sourabh ki hanthon ki hathkadi lagate hue thane le gya ... sourabh chilla rha tha mera jurm kya h...??????????/


    ye khabar jaise hi gagan ke paas pahuchi ... gagan gusse me tilmilata hua  apne muchon ko taav  dite hue ..gagan ne apna balck vakalat ka coat pehnate hue kaha abhi dekhta hun.... aur ek arzi thane me di ...,. agale din coart me gagan ne apni vakalat ka puri padhai  coart me rakh di ... apne tarko se  riya ke bhai .....ko hi fasa diya .... aakhir judge gurav ne sourabh ko ba izzat bari kiya aur riya ke bahi ka kanpur jile me transfer kar diya.... puri hardoi me gagan ki dosti ke hi charche the ...... bas itani si thi ye kahani...
         

Tuesday, 18 September 2012

Ek Tha HR







ye story ek private engineering  college ke  management ke problem ko batati h.....  chaliye padhte h.......



chair men to TPO: sep. khatam hone ko h aur koi company nhi aayi h ... ye 4th yaer vale hungama katenge phir agale year admistion bhi to lene h... oct  start me sab college vale HR ki advance booking kar dete h... aur tum ho....

TPO: ne baat beech me hi katate hue kaha sir... aap chinta na kare me kal hi centar park jake kuch intezaam karta hu....
 
Next Day....
Place :Sastri nagr centar Park Raam lila
TPO: are Gaon vale suno yaha sugriva ka kirdaar kaun nibhata h?
Gaon Vala: saheb vo Bargad ke ped ke niche jo Puch ko lapet raha h vahi h.....
TPO: dhaynvaad...


TPO: are sugriva .. tumhare liye kaam tha kal mere colg. aana h...
Sugriva; babu ji meri kal ki date to dusare colg. me fix h.....

TPO: bt maine to placement Portal me daal diya h...Kal ke liye Big Placement drive Vedicon...
sugriva: are sir to cancel ka daal dijiye ki postponed ho gayi h HR ka accident ho gya h ...ab sir apko itna batana padega kya aap bhi to pehale "Pared Ramlila mandali me the"

TPO: hummmmm wo to tha kafi time ho gya h.... acha to Phir 3 din baad ki date rakhe...?
Sugriva: Done.....

TPO: ye tumhari Script hai ache se tiyari kar lena ......3000rs dunga na ek kam na ek jayda lana lejana Nasta free...ok... Ye kahte hue TPO... cahle gye...

sugriva : Kyu na is role ke liye apne bhai ko bhej de...jo ramadevi raam lila mandali me hunmaan ka role nibha rha h....
Hnumaan: Humne ye english ke dilogue nahi yaad hue h....
sugriva; hosala rakho ho jayega ....aur haan 3-4 office UK,USA me batna na bhulna ....



 Aakhir vo din aa gya seminaar hall full.... sab engineer shirt pent black shoe me baithe... girls bhi formal dress me baithi thi... 9 baje ki timing thi bt karte -2 1 baje hanumaan ki entery taliyon ke bech ho gyi....
Hanumaan: Good After noon.....
studetnt; gud noon
Hanumaan: oh.. You dont hav breakfast ? I say Good Afternoon!!!!!!!!1
aur is tarah ek good imprestion ke sath student ke dil me ek jagah bana li... aakhir raamlila ka manzha khiladi tha...
aur iske baad hanumaan ne pucha ... any question.... ek ladki ne pucha sir....which technology ur company have work?
ab hamesa hanumaan role nibhane vale baal brahmchari ladki ki awaz sunte hi sare dilog bhul gye  aur muh se nikala "sita mata FAL khaibooooo" 

Wednesday, 30 May 2012

Safernama ka jhama............

padhako ki bhari maang pe phir se laut aaya hai"hirnu express".... apko pata hoga jaise hi band karne ki notice di gayi hirnu express ki kuch "gaav vale " sahit kai logo ne aatamdaah karne ki kosis ki....
to aap sab ke is pyaar ko dekhte hue maine kaha chaliye phir se ek nai shuruvaat karte hai...... to lijiye pes hai new kahani """"safarnama ka jahama""""
   


             ..............................................................................................................................................

20 july 2008, jagah jhasi railway station   ......       


are potu beta rail paas sambhaal ke rakha hai na?????? raaste me khuch na khana aur sidhe buaa ke ghar jana , phone karte rehana aisa ek railway ke bade officer ne apne bete ko samjhate hue kaha..


:::::thik papa train chalne lagi hai mai ja raha hu.....
chuk...chuk chuk....chuk ki awaaj ke sath train ne raftaar pakadni suru ki..................
potu:"apan ko dar lag raha hai pata nahi kaisi city hai kanpur....." ab apan bag se bonbita nikal ke pi leta
h  jisase apan ko thodi taakat milegi abhi lamba safar tay karna hai...... aur isi beech potu na jane kab aankh lag gayi....are hum kaha tak aa gaye hai potu ne aankh kholte hue bagal me lete hue bhimkaay sarir ke ladke  se pucha?

bhimkaay sarir ka ladka:  "gaali*****" abe tere jo jana kidhar hai?
potu:" kanpur !!!!!....... lagta hai kanpur aa gaya hai dosto ne bataya tha jaha se bin baat ke gaali  milni shuru ho jaye vahi se kanpur start hota"

bhimkaay sarir ka ladka:"****" kanpur aa chuka hai ye rama devi hai...... ok


aur yahi thi potu aur batista ki pehali mulaakat.....


 tabhi train me 3-4 gunde chade chal chokare parse nikal meri krapa ruk rahi hai....
aur potu ki taraf rampuri chaaku  nikal di..




batista ne apne jor daar prahaar se chaaku ko tehda kar diya .....
potu: thank you bhaiya me engineering ki padhai karne ja raha hu...
batista:are main bhi**** ha ...ha ab dost hai.... 

dada nagar dada nagar train ke TT  ne chilaya... aur ek aur dubla (vartmaan me mota ho gaya h)ladka train me chdha.... bhai kiraya kitana hai...... train me chadte hi pucha....



aur ye ladka koi aur nahi Naag hi to tha.......

tbhi shastri nagar ek paas ek aur sajjan train me chade ..... hello tum log college ja rahe ho.....?? batista naag potu teeno ek sath chilaye ji sir

abe murgichor sir nahi hum bhi student hai...... aur ye the dr. tyagi se mualkat.......


                                                                                                           krmsa::::::::::::

                                                                                           ( aage college me kaise sabne dhamachukadi machayi aur dhero rochak kisson ke liye padhte rahiye hirnu express)





Thursday, 24 May 2012

official end of "Hirnu Express"---pal yaad aange ye pal

aaj ye batate huye khusi aur gum dono ho raha hai "ek successful yug ka ant horaha hai " kuch hi time me hirnu express ne aap logo ke dil me jo mukaam paya hai us safalta ki uchaiyon ko shayad hi koi chu paya ho....b.tech 3rd year ke hard subjects ke beech "hiru express" ne logo ke tension ko dur karne aur chehare pe mukaan bikherne ki jimedari ko bakhubhi nibhaya hai...
     sukriyan un sabhi logo ka jinhone hirnu express dil me basaya,pyaar diya aur agar kisi kahani se kisi ka dil hurt hua ho to uske liye hum maafi mangte hai kyuki hamara aisa karne ko kabhi udesaya nahi raha hai.....
           Aaj room me dk akele hai par dk dk dk..... chilake utsaah badhane vale koi nahi hai.... ek khalipan sa tyagi ji ke jeevan me bhi hai... lakh hostal ke khne me buraiyan ho bt aaj neelu ko bhi usi 3din purani hostal ki chawmine yaad aa rahi hai......
    bachiya bhi aaj soch raha h ab kiske liye ipl ki boli launh karenge aur vahi kaua keh raha hai ab kaun hai jo 4:30 tk baih ke boring paithan ki ppt  sunga.... batista ,naag  sab isi me hai aakir ye manzil itani jaldi kaise khatam ho gayi......



    2nd year tak kaun mr. rohit ko janta tha bt is hirnu express ne use aur na jane kitane logo ko hero bana diya h aay bacha bacha janta ...na keval persnality  development  bhi is hiru exprses ke dwara hua jo ki 100pdp class se nahi hua ... jiska example mr. rohit hi hai ek sarmeela bacha ab bina kisi bezatati ke bare me soche confidance se ppt, hr round ka samna karta hai... safar ki shruvaat jis pyaar se hui thi aasa karta hai ye hirnu express publication ki ant bhi usi tarah der sare responce se milega....

 jaate jaate kuch yaande.... photo,,,,,,









jaate jaate moh. rafi ke song sang chod jate hai...........


Thursday, 8 March 2012

holi ke huddang me duty


Up me CM change hote hi inspector batista ki duty phir amilha gaon me lag gayi thi.... amliha gaon ki mitati se batista ko kuch khaas hi pyaar tha aur hota bhi kyu nahi iske bhavanipur elaake se kukhyaat daaku naag ko jo pakadkar raato raat media me jo cha gaye the.
 




par abki baar ki duty ashaan na thi.....abki abar ek purane daaku "don mario" ne bhavanipur me holi ke din  mandir me jal chadake ke ek private engineering college lutane ki dhamki di thi.kaakhir vo din bhi aagaya holi ka din jaha sab log gujiya kha rahe the aur sabne kaha apni tond ka khyaal karke gujiya to kha lijiye  varna dubla jayegi.par batista se saaf inkaar kar diya aaj to kuch aur hi karne ka junun savaar tha. banduk le kar ispekar batista nikal pade



inspector batista ne ramiya dhba me chapa mara to pata chala don mario 15min me aane vala hai bhavanipur mandhir me.... clock me subah ke 6 baje the aur thik 15 min ke baad ek upsrtc ki bus se chasma lagaye don ke utare dekha.....insp. batista ne apni donali banduk se  goli chala  diya par ye kya goli ki jagah rang nikala aur don sharam ke rang se bheeg gaya don ne INS. Batita se mafi mangi aur aage se kabhi bhi bure kaam na karne aur mistri bankar logo ki seva karne ka vachan diya................ 

Monday, 2 January 2012

engineer becomes the stone-man



exame khatam hone par sab log bade
khus the 1 month ke lambe time ke
baad sab bade sukun me the. par
potu na jane kis udhed-bun me
tha."apan ko gate ki taiyari karni hai
aur ye batista hiru bada tang karte hai
kisi na kisi bhane se kabhi lab file to
kabhi kuch apan phone swith off kar
dega ye uninorn ka network bhi bohat
lagane laga hai " aisa aksar apni bua
ke samne badbadata tha... tabhi naye
saal ke dusare din ghar ke sabhi logo
ko unnao shadi me jana pada. potu ne
socha chalo isi bahane unnao me
akaant me tambulaga kar padhenge.
aisa sochkar potu apne sache sathi
nokia 3110-c aur compac ka laptop
ke sath chal diya.
       jaha ek aur sbhi log shadi me
samil the to vahi dusari aur potu paas
me hi tambu lagakar mombatti jala
kar DDA ke kathin question me uljha
tha.barat ka shor potu ko fm radio ka
ahsaas kara raha tha. madhya ratri ke
1 baje the "apan aaj sari raat jaagker
padhega aisa drand nishchay potu ne
kiya" tabhi potu to tez pyaas lagi
usane socha chalo paas ke well se
jakar pani pi le. ek to thand ka
muasam uper se kamjor sarir apan ko
kuch dikh nahi raha well ki jagah ek
cement milane vali machine me ja
gira...aur dudta hua barat ki pandaal
ki taraf bhaga jaha sab log so rahe
the... halley se sabhi ki need tut gayi.
25 rasgullay khaker paas me lete
batista ne chillya pathar ka ladka. he
is stone-man. use laga jo soyega wo
stone ka ban jaye..aur pahlwaan
batista bhaga jisase dharti hil gayi
...paas lete dr.tyagi ne kaha bhago
bhukamp aa gaya.. aur dekhate-
dekhate aadhi raat me pura kanpur
jaag gaya log road pe aa gaye..is tarah
potu ki padhayi ne pura kanpur ki
neend uda di.