Wednesday, 30 May 2012

Safernama ka jhama............

padhako ki bhari maang pe phir se laut aaya hai"hirnu express".... apko pata hoga jaise hi band karne ki notice di gayi hirnu express ki kuch "gaav vale " sahit kai logo ne aatamdaah karne ki kosis ki....
to aap sab ke is pyaar ko dekhte hue maine kaha chaliye phir se ek nai shuruvaat karte hai...... to lijiye pes hai new kahani """"safarnama ka jahama""""
   


             ..............................................................................................................................................

20 july 2008, jagah jhasi railway station   ......       


are potu beta rail paas sambhaal ke rakha hai na?????? raaste me khuch na khana aur sidhe buaa ke ghar jana , phone karte rehana aisa ek railway ke bade officer ne apne bete ko samjhate hue kaha..


:::::thik papa train chalne lagi hai mai ja raha hu.....
chuk...chuk chuk....chuk ki awaaj ke sath train ne raftaar pakadni suru ki..................
potu:"apan ko dar lag raha hai pata nahi kaisi city hai kanpur....." ab apan bag se bonbita nikal ke pi leta
h  jisase apan ko thodi taakat milegi abhi lamba safar tay karna hai...... aur isi beech potu na jane kab aankh lag gayi....are hum kaha tak aa gaye hai potu ne aankh kholte hue bagal me lete hue bhimkaay sarir ke ladke  se pucha?

bhimkaay sarir ka ladka:  "gaali*****" abe tere jo jana kidhar hai?
potu:" kanpur !!!!!....... lagta hai kanpur aa gaya hai dosto ne bataya tha jaha se bin baat ke gaali  milni shuru ho jaye vahi se kanpur start hota"

bhimkaay sarir ka ladka:"****" kanpur aa chuka hai ye rama devi hai...... ok


aur yahi thi potu aur batista ki pehali mulaakat.....


 tabhi train me 3-4 gunde chade chal chokare parse nikal meri krapa ruk rahi hai....
aur potu ki taraf rampuri chaaku  nikal di..




batista ne apne jor daar prahaar se chaaku ko tehda kar diya .....
potu: thank you bhaiya me engineering ki padhai karne ja raha hu...
batista:are main bhi**** ha ...ha ab dost hai.... 

dada nagar dada nagar train ke TT  ne chilaya... aur ek aur dubla (vartmaan me mota ho gaya h)ladka train me chdha.... bhai kiraya kitana hai...... train me chadte hi pucha....



aur ye ladka koi aur nahi Naag hi to tha.......

tbhi shastri nagar ek paas ek aur sajjan train me chade ..... hello tum log college ja rahe ho.....?? batista naag potu teeno ek sath chilaye ji sir

abe murgichor sir nahi hum bhi student hai...... aur ye the dr. tyagi se mualkat.......


                                                                                                           krmsa::::::::::::

                                                                                           ( aage college me kaise sabne dhamachukadi machayi aur dhero rochak kisson ke liye padhte rahiye hirnu express)





Thursday, 24 May 2012

official end of "Hirnu Express"---pal yaad aange ye pal

aaj ye batate huye khusi aur gum dono ho raha hai "ek successful yug ka ant horaha hai " kuch hi time me hirnu express ne aap logo ke dil me jo mukaam paya hai us safalta ki uchaiyon ko shayad hi koi chu paya ho....b.tech 3rd year ke hard subjects ke beech "hiru express" ne logo ke tension ko dur karne aur chehare pe mukaan bikherne ki jimedari ko bakhubhi nibhaya hai...
     sukriyan un sabhi logo ka jinhone hirnu express dil me basaya,pyaar diya aur agar kisi kahani se kisi ka dil hurt hua ho to uske liye hum maafi mangte hai kyuki hamara aisa karne ko kabhi udesaya nahi raha hai.....
           Aaj room me dk akele hai par dk dk dk..... chilake utsaah badhane vale koi nahi hai.... ek khalipan sa tyagi ji ke jeevan me bhi hai... lakh hostal ke khne me buraiyan ho bt aaj neelu ko bhi usi 3din purani hostal ki chawmine yaad aa rahi hai......
    bachiya bhi aaj soch raha h ab kiske liye ipl ki boli launh karenge aur vahi kaua keh raha hai ab kaun hai jo 4:30 tk baih ke boring paithan ki ppt  sunga.... batista ,naag  sab isi me hai aakir ye manzil itani jaldi kaise khatam ho gayi......



    2nd year tak kaun mr. rohit ko janta tha bt is hirnu express ne use aur na jane kitane logo ko hero bana diya h aay bacha bacha janta ...na keval persnality  development  bhi is hiru exprses ke dwara hua jo ki 100pdp class se nahi hua ... jiska example mr. rohit hi hai ek sarmeela bacha ab bina kisi bezatati ke bare me soche confidance se ppt, hr round ka samna karta hai... safar ki shruvaat jis pyaar se hui thi aasa karta hai ye hirnu express publication ki ant bhi usi tarah der sare responce se milega....

 jaate jaate kuch yaande.... photo,,,,,,









jaate jaate moh. rafi ke song sang chod jate hai...........