Sunday 23 September 2012

2 Dost

amliha nagar me ji haan hum nagar  rkeh sakte the ...dukaan ke naam me " taau " chacha ki ek maatra dukaan thi jaha sabhi log jamavda laga ke khde hote .... collge ke sare assignment se lekar placement yaha tk ki ipl ki boli bhi vahi lagti thi..... taau chacha ki dukaan ke thik samne hi ek engineering collge. tha naya naya khula tha .... par chacha ki dukaan me me runak aa gyi thi.
    college. me hi 2 dost the.... gagan aur sourabh....sourabh jaha ek aur dubali patali personality ka tha vahi gagan naam ke aurup "gagan ghi " khane vale healthy personality  thi.. vakalat me ruchi rakne vale gagan ki damdaar awaj ke samane ache ache "mithe " log pani bharte the... vahi sourabh shant rehne wala tha log batate the ki dil me dard bhara h bohat uske.... itane svabhaav me differnce hone ke baad bhi dono dost the.... shyad dosti isi ka naam hota ....
        "sourabh" laptop ka bag kaha h gagan ne jor daar awaj me chilate hue pucha .... aaj sourabh picnik manane aur  apne akelepan se dur hone ke liye gagan ke gaon haridoi ja rhe the... sourabh ne dheere awaj me kaha mere paas h aur ye kehta hua tata sumo me baith gya....



 
 subhah 9 baje ke nikale   1 baje hardoi me the...hardoi me gagan ka ek bada  pusteni bangla tha...  gagan jate hi gaon me sabse milane me masgul ho gya....vahi sourabh ne ghade ka thanda pani pikar apni thkavat dur karte hue gaon gumne nikal gya sourabh ko vaha jake kafi acha mehsoos kar raha tha ... apni life ki pareshaniyon ko bhool baitha tatha ... abhi kuch dur hi sourabh gaon se nikala ... tabhi gaon ki ek ladki kuyen me pani bhar rahi thi ... dono ki nazare takrayi...

aur khamosi  cha gyi h sourabh ne khamosi ko beech me todte hue kaha  me  yahi gaagn ke yahan ruka hu ....aap kya karti h ....aapk ka kya naam h ..... ek sath kai sawalon ki buchaar kar di.... Riya ....haan yahi name bataya tha ...."me b.tech  kar rhi hu" ye javaab sunate sourabh ke zoon reng gyi thi shayd aise jawab ki usane apecha nhi ki thi... ap to ye mulakat sinsila chalu ho chukata tha ... riya roz pani bahrne aati sourabh bhi aajta tha .... vahi dusari aur gagan  is sab baton se anzaan tha .... bt gaon ke kuch mithe logon ne gagan ke kaan me ye baat daal thi .....
 Gagan tamtamata hua sourabh ka intezaar kar raha tha ... aate hi usane swaal daag diya kaahan  gye ....sourabh ne bina kisi jhijhak ke bata diya riya se milne .... gagan ne sourabh ko gale lagate hue kaaha dost pehale batana tha na .....riya ke family vale gaon me dabang h  aur hum logo se ranjis chalti h .... tumhe kuch ho bhi sakta tha...
      agale din sourabh jaise hi milne gya  raste me talab me batakh ko ek magarmach kha raha tha ye drasya dekh ke sourabh ka dil pasij gya ... par ye to problem ki shuruvaat thi ... riya ka bhai vahi gaon ki bazariya police chuki me tenat tha ...  aur  sourabh ki hanthon ki hathkadi lagate hue thane le gya ... sourabh chilla rha tha mera jurm kya h...??????????/


    ye khabar jaise hi gagan ke paas pahuchi ... gagan gusse me tilmilata hua  apne muchon ko taav  dite hue ..gagan ne apna balck vakalat ka coat pehnate hue kaha abhi dekhta hun.... aur ek arzi thane me di ...,. agale din coart me gagan ne apni vakalat ka puri padhai  coart me rakh di ... apne tarko se  riya ke bhai .....ko hi fasa diya .... aakhir judge gurav ne sourabh ko ba izzat bari kiya aur riya ke bahi ka kanpur jile me transfer kar diya.... puri hardoi me gagan ki dosti ke hi charche the ...... bas itani si thi ye kahani...
         

No comments:

Post a Comment